Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*shery {khamosh}*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: ~*shery {khamosh}*~

    ..."AANSU BAHANE KO G CHAHTA HAI"...

    Teri bahon mein sar chupane ko G chahta hai,
    Tere paas aane ko G chahta hai,

    Labo pe tabasum nighaon mein chahat,
    Teri surat ko dil mein basane ko G chahta hai,

    Doori sitam hai aur tu hai sitamgaar,
    Yeh doori mitane ko G chahta hai,

    Mohabbat mein tere ajab meri halat,
    K aansu bahane ko G chahta hai...



    ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

    Comment


    • #62
      Re: ~*shery {khamosh}*~

      Uski yaadein bechain kar jaati hai,

      Har jagah sirf uski surat nazar aati hai,

      Kaisa haal kiya hai usne mera,

      K neend aati hai to aankhein bura maan jaati hai...



      ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

      Comment


      • #63
        Re: ~*shery {khamosh}*~

        ""Men Khud Garz Nhi K Khushion Pe Mar Mitoon,,,

        ""A SHERY""

        ""Gham B Mujhe Aziz Hen kisi k Diye Howe....



        ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

        Comment


        • #64
          Re: ~*shery {khamosh}*~

          Na Dil se Dil ko juda
          "KiJiYe"

          Zara Soch Samjh kar ye Faisla
          "KiJiYe"

          Agar Aap jee Sakty hy
          "Bin Hamary"

          To phir hamary marny ki Dua
          "KiJiYe".



          ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

          Comment


          • #65
            Re: ~*shery {khamosh}*~

            Har Aaib Sahi Mujh Main Magar Aaj B Mujh Ko,,,

            Apnon Se Khafa Honey Ka Andaaz Nahi Aaya...!!



            ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

            Comment


            • #66
              Re: ~*shery {khamosh}*~

              Abhi raat k diey jaley hyn..
              Abhi taaron k kaarvaan chaley hyn..

              Abhi hava ne aanchal lehraaya hy..
              Abhi chaand ne chehra dikhaaya hy..

              Kuch vasal ki baat honey do..
              Chalo aadhi raat honey do..

              Is dil ko bey'qaraar hona hy..
              Tab aankh ne meri sona hy..

              Phir raat chaley gi' baat chaley gi..
              Phir yaadon ki baaraat chaley gi..

              Phir khawaab nagar me basera ho ga..
              Phir subah talak vo mera ho ga..!!



              ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

              Comment


              • #67
                Re: ~*shery {khamosh}*~

                ..."USAY KEHNA"...

                Tumhein Hum Kesay Bhool Saktay Hain,

                K,

                Ye Gulab B Tera Aks Hai,

                Ye Sitara B Tera Naqsh Hai,

                Ye Chand Tumhari Chahat Hai,

                Bas Tujko Hi Sochtay Rehna,

                Apnay Dil Ki Rahat Hai,

                ..."USAY KEHNA"...

                Tumhein Hum Yad Kartay Hain,

                Pooray Chand Ki Raton Me,

                Sab Khushi Ki Baton Me,

                Kbi Sawan Me,Barsaton Me,

                Kbi Be-Jan Lamhon Me,Kbi Anjan Raston Me,

                Tumhein Hum Yad Kartay Hain,

                Tumhein Hum Kesay Bhool Saktay Hain..



                ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                Comment


                • #68
                  Re: ~*shery {khamosh}*~

                  Tum Jab Bhi Milo To Nazrain Utha Kar Mila Karo..

                  Mujy Pasand Hay Tumhari Ankhon Main Apna-AKS Dakhna....!



                  ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                  ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                  Comment


                  • #69
                    Re: ~*shery {khamosh}*~

                    Boht Tamna Thi Kisi Ko Pany Ki,

                    Boht Tamna Thi Kisi Ka Hojany ki,

                    Pr Kya Pta Tha Jis K Hum Hona Chahty thay,

                    Unhy Adat Hi Nahi Kisi Ko Apnany Ki.



                    ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                    Comment


                    • #70
                      Re: ~*shery {khamosh}*~

                      Agr wo pyar kar leti,
                      Mera daman pakr leti,
                      To Jeewan me faqt us se,
                      Muhabat farz ho jati,
                      Muhabat qarz ho jati,
                      Magr Acha kiya us ne,
                      Mujhy smjha k chal nikli,
                      Mujhy thukra k chal nikli,
                      Boht nadan si hy wo,
                      Abhi anjaan si hy wo,
                      Kahan malom hy us ko,
                      Mohabat zindagi main bus faqt ik bar milti hai...



                      ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                      Comment


                      • #71
                        Re: ~*shery {khamosh}*~




                        ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                        Comment


                        • #72
                          Re: ~*shery {khamosh}*~

                          'Mje udaas b krna tha khud b rona tha,

                          'Ye hadsa b meri jan kbi to hona tha,

                          'Wo muj ko tor k phr jorta rha aksar,

                          'Mai us k waste jaise koi khilona tha,


                          ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                          Comment


                          • #73
                            Re: ~*shery {khamosh}*~

                            In Phoolon Ka Muqadar Kabhi Aik Sa Nahi Hota

                            "-AY SHERY-"

                            Kabhi Sehray Ki Sajawat Banta Hai To Kabhi Qabron Ki Ronaq.



                            ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                            Comment


                            • #74
                              Re: ~*shery {khamosh}*~

                              Kathan andhairoon ki rah-guzar pay chiragh-e-subah jala jala k,

                              Qasam say aankhain b thak gai hain, tumharay aansoo chupa chupa k,

                              Hum itnay saada mizaaj kab thay? magar sarabon ki rah-guzar pay,

                              Fareeb daita raha zamana, tumhari soorat dikha dikha k,

                              Ajab tanasub say zehan-o-dil mein khyaal taqseem ho rahay hain,

                              Humain mohabbat si ho gai hai shayad, tumhain mohabbat sikha sikha k...



                              ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                              Comment


                              • #75
                                Re: ~*shery {khamosh}*~

                                "TUM KHAFA Q HO"

                                Tumhen mujh se gila kya hy,

                                Achanak be rukhi itni,

                                Batao to hua kya hy,

                                Manaaun kis tarah tum ko,

                                Mujhy itna to batla do,

                                Agar ab ho saky tum se,

                                To ye ahsan farma do,

                                Meri manzil mohabat hy,

                                Mujhy manzil pe pohncha do,

                                Tumhari aankh men aansu,

                                Mujhy achy nahi lagty,

                                Tumhary narm honton pe,

                                Gily achy nahi lagty,

                                Tumhary muskurany se,

                                Mera dil muskurata hy,

                                Tumhary rooth jany se,

                                Mera dil toot jata hy.



                                ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                                Comment

                                Working...
                                X